Saturday 23 December 2017

Kale Chane Se ilaaj


Kale Chane Ke Fawaid(benefits)

Cancer Se Bachao(Hifazat)
Kale chanon main aisay kimiyai maade pae jate hain jo cancer se bachate hain is liye kale chane apni ghiza main shamil rakhain.

Haddion(bones) ko mazboot karna
Kale chane khate rehne se insaan ki haddiaan bhi mazboot ho jati hain.

Dil Ki Hifazat
Kale chane khane se dil bhi sehetmand rehta he.

Dimagh Ki Kamzori Door karna
Kale chane dimagh ke liye bohat faiday mand hain is liye kale chane khate rehna chahiye.

Baal kalay karna
Hafte main do baar kalay chane khane se baal safaid hona ruk jate hain.

Kale chane ki iqsaam(types)
Bhone hoe chane,chane ki daal,baisan khane se bhi kale chane ke fawaid hasil hote hain.



Wednesday 20 December 2017

Kelay(banana) Se ilaaj



Kele ke Fawaid
Benefits Of Banana

Danton ko chamkana

Kele ke chilke ka under wala hissa daanton per ragrain is se daant chamak jaen ge.

Blood Pressure kam karna
Buland fashar e khoon ko kam kerne ke liye rozana kelay khaya karain is se blood pressure kam ho jae ga.

Dubla pan theek karna
Mota hone ke liye
Apna wazan ager barhana chahte hain to kele khaya karain.

Motapa door karna
Wazan kam karna
Ager khana khane ke bajae sirf kele khae jaen to is se wazan kam ho jata he.

Doraan e khoon taiz karna
Blood circulation barhana
Subha nahaar moon dahi main kele mila ker kha liya karain.

Friday 8 December 2017

High Blood Pressure Theek karna



High blood pressure gher per theek kerna                                                                                            How to control blood pressure at home              

1.  Raat ko jaldi so jaen aur subha jaldi uthain.
2.  Fresh fruite aur vegetables istamal karain.
3  .Subha shaam walk karain.
4.  Terbooz khaya karain.
5.  Kino ,malta,lemon use karain.
6. Blood pressure berhne se pehle aap ka jo life style tha wo dobara apna lain ager mumkin ho to.
7.  Pisa hua safaid zeera aik tea spoon raat ko sone se pehle pani se kha lia karain.
8.  Ispaghol ka chilka istamal karain.
9.  Doctor se ilaaj zaroor karaen.Aur B.P control main rakhain.